FMS Official
Friday, December 2, 2022
Imamuddin Akhtari
Allah ki sartaba qadam shan hai ye
in sa nahi insan wo insan hai ye
Quran to imaan batata hai inaih
imaan ye kehta hai meri jaan hai ye
imamuddin Akhtari
Thursday, December 1, 2022
Wednesday, May 12, 2021
Be Khud Ki Ye Dete Hai Naat Lyrics | FMS Official
FMS Official.
Naat Here 👇👇👇
الحمد لله رب العالمين والصلاة والسلام على سيد الأنبياء والمرسلين أما بعد فاعوذ بالله من الشيطان الرجيم بسم الله الرحمن الرحيم
Bekhud kiye dete hain andaaz hijaabana...
Aa dil mein tujhe rakh lun ay jalwa e janana!!!
Itna to karam karna ay chashme karimana...
Jab jaan laboon par ho tum saamne aa jaana!!!
Ji chahta hai tohfe mein bhejun unhein ankhein...
Darshan ka to darshan ho nazrane ka nazrana!!!
Mein hosh o hawaas apne is baat pe kho betha...
Hans kar jo kaha tumne aaya mera deewaana!!!
Dunya mein hamein tumne jab apna banaya hai...
Mehshar mein bhi keh dena ye hai mera deewaana!!!
Kyun aankh milayi thi kyun aag lagai thi...
Ab rukh ko chupa bethe karke mujhe deewaana!!!
Peene ko pee lunga bas arz zara si hai...
Ajmer ka saaqi ho bagdaad ka mekhaana!!!
Bedum meri qismat mein sajde hain usi dar ke...
Chuta hai na chute ga sang e dare janana!!!
Naat by: Bedam Shah Warsi
Note: All mistakes pointed out as of 11 May 2021 are addressed. JazakAllah for pointing out.
Uploaded By FMS Official .
Imamuddin Akhtari
Subscribe to:
Comments (Atom)
Imamuddin Akhtari
Allah ki sartaba qadam shan hai ye in sa nahi insan wo insan hai ye Quran to imaan batata hai inaih imaan ye kehta hai meri jaan hai ye ...






















